Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name seestani 
Question aoa .... meray mama baba mere shadi zabardasti kr rahay hain mn usko bilqul pasnd nae krte mere umar 19 saal hai aur jis sa shadfi krwae ja rahe hai uski umar 36 hai mein kisi ko pasnd krte hun plz mujhe koi asa wazifa btain jis sa mere mushkil hallk hojae mn bht pareshan hun plz meray lia dua farmaya ga plz aur juld he mja answer da dijye plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz 
Answer 1-Lirki ki ijazat k baghair nikah nahi hosakti laihaza agar maa baap zabrdasti shadi kerdain jab k lerki razi nah ho tu aisa nikah batil hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah#2335) 2-Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.