Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sisatni sb 
Question Qno:1 kya masjid mn zanjeer zani jaiz he. Kya yeh masjid k behurmti nh he. Qno:2 kya curency notes pr zakat he Qno:3 kya agr non muslim magr ahl kitab k hath k paka howa khana, yah wo apke laye khana le kr ay uske hath wet hon to khana kha skte hn. aur agr wo bartan ko hath lagata he to kya wo napak ho jae ga 
Answer 1) Masjid ki zameen, andoroni or baironi chat or andoroni dewaar ko najis kerna haram hay or jis shaks ko pta chalay k in main se koe maqaam najis ho gaya hay tu zarori hay k oski nijasat ko fauri door karay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 887) 2) Currency note par zakat nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1820) 3) Ahl e Kitab paak hain is lie un ka khana kha saktay hain(ghost k alawa) chahay unho nai geela hath lagaya ho ya na lagaya ho laikin hamain is baat ka yaqeen hona chaheay k is khanay mai sharab aur is jaisi doosri cheezain shamil nahi jin ka khana haram hai. Or agar khanay main gosht ho tu is baat ka yaqeen ho ye gosht musalman k ziba shuda janwar se hay.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 152, pg # 119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.