Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question A/Salam Alaiqum Mera Sawal Yeh hai ke Meri Sadi ko 5 sal ho gay hai hamari 2 Bachchiya hai (2Ladki) hai. Dono Opretion ke jariye hua hai. Doctor Boltey hai ke Ab aap ko Ek Aur Aulad ho sakta hai. us ke baad agar aap aulad chahty hai to khatra ho sakta hai to kiya mein ek aur bachcha hone ke baad apne bewi ka Hamal ka opretion karwa sakta hoon jessase baad mein bachcha hone ka daar nahe rahta kiya yeh mein yeh kar sakta hoon? aur agar mein bachcha band karane ka apretion karwato hoon to kiya meri biwi Haaz aur Umrah ke liye ja sakti hai.  
Answer Aurat k liay jaiz hay k wo operation kerwalay keh ab bilkul bachcha paida nahi kray gi.ye is sorat main hay jab keh ye amal is aurat k liay nuqsaandah nah ho ya kisi uzo(Part) maslan bachcha daani k kaatnay say muta’alliq nah ho.albattah agar operation ka ye amal shohar k iawah kisi diosray k haath say anjaam pay or aisay maqaam ko daikhnay ka sabab ho jisay daikhna jaiz nahi hay or badan k aisay hissay ko choonay ka sabab ho jisay choona jaiz nahi tu is sorat main ye kaam jaiz nahi hay.albattah zarorat ki sorat main jaisa keh haamlah hona os k liay qaabil e zarar ho tu is ki ijazat hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail,Topic: Jadeed masa’il, maslah#72). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.