Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani 
Question اسلام علیکم، میرا سوال خمس سے متعلق ھے۔ کیا میں مالِ امام اور مالِ سادات ایک ایسی تنظیم کو دے سکتا ھوں جو کراچی میں کچھ روز قبل رونما ھونے والے واقعہ کے متاثرین مومنین کے گھروں کی تعمیر یا نےؑ گھروں کیلیے کام کر رھی ھو؟ مثال کے طور پر شھید فاوؑنڈیشن۔ دوسرا سوال یہ ھے کہ کیا مالِ سادات اپنے رشتے داروں یا اقارب میں موجود مستحق خاندانوں کو دیا جا سکتا ھو، جو سید ھوں؟ اور اُن کو یہ رقم دیتے وقت کیا یہ بتانا ضروری ھو گا کہ یہ خمس کی رقم ھے؟ 
Answer Khums k 2 hissay hotay hain.sehme Imam aur sehme sadaat, Zarori hai k sehm e Imam a.s, jamae-us-sharait mujtahid-e-alaam ko diya jaey Aur sehm e sadAat agar syed ko dena chahain tu us syed mai ye sharait hon to usko sehm e sadaat diya jae. 1-ye yaqeen ya itminaan ho k wo shia isna asheri syed hai. 2-zarori hai k wo faqeer ho(yani uski aamdani uskay jaiz akhrajaat say kam ho) 3-wo khums ko gunah mai istemal nahi karay ga aur ehtiyaat ki bina par us syed ko bhi nahi day saktay jisko khums dainay ki wajah say gunnah kernay mai madad milay 4-wo sharabi nah ho(ehtiyate wajib ki bina par) 5-Benamazi na ho(ehtiyate wajib ki bina par) 6-Khullam khulla gunnah na krta ho(ehtiyate wajib ki bina par) Syed ko uskay hissay ka khums daitay waqt batna zarori nahi hai k ye khums hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1804,1805,1807,1808,1809, and mujtahid sy pochay gae sawalat masla#126,pg#57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.