Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question ref question id #23814 (Ref : Ayatullah sistani(d.b),Tauzeehul masail, maslah # 853). Is maslay mai aqa sistani ne apna fatwa bayan nahi kia hai bal k dosray (mujtahideen) foqah e karam ka qoul naqal kia hai yani namazi k libas mai kalay libas ka makrooh hona dosray (mujtahideeb) foqah e karam k fatway k mutabiq hai ayatyllah sistani d.b. k mutabiq nhi hai. aqa aaasistani ka fatwa wohe hai jo bayan ho chuka hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Mere swal yeh ha main bohat confused hogaya hu ap es jawab k baad kia ye aqa sistani ka fatwa ha ya nahi?, Because agar unho ney dosray (Mujtahideen) ka qoul naqal kia ha toa es ka matlab yeh nahi ha k aqa sistani ka fatwa different ha, haan agar different ha to us ka reference kahan ha? un ka reference(Fatwa) kahan ha? mere pass unki official website english version main clear cut reference mojod ha ap parh sakte hain jis main makrooh cheezo ka zikar ha aur wo bhi kisi aur mujtahid k mutabiq nahi aqa sistani k mutabiq ha http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2211 Makrooh things Certain Items are Makrooh for the Dress of One who Prays: 874. To wear a black, a dirty, or a tight dress, or to put on a dress of a person who is a drunkard, or of one who is careless about najasat. Similarly, to wear a dress which has images printed or drawn on it, to keep the buttons open, to wear a ring which has images engraved on it. kindly meri rahnumai karain allah ap ko jaza de Regards Ali Raza 
Answer Kala libaas pehenna ayatollah sistani d.b k nazdeeq makhrooh hona sabit nahi hay. aap ne jo english tauzee ka reference diya hay wo tauzee ayatollah sistani d.b k puranay fatway k mutabiq hay ayatuulah sistani ka fatwa tabdeel ho chukka hay, aap new fatway k mutabiq urdu tauzee k tafar ruju karain. Aap is link ki taraf ruju ker saktay hain. http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/28.htm . (Ref: http://sistani.org/index.php?lang=urd). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.