Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sisitani 
Question slam.mera sawal yeh hy ky hum shia jo 2 nimazen mila kar parhtey hain kia iska zikar quran e paak mein hy ?agar hy tu reference sy btaen... 
Answer 1-Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). 2-Zohar,asar maghrib or isha ki namazo ko on namazo k maksoos waqt main alag alag perhna mustahab hay.(Ref. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774) 3- Quran e kareem main sorah Bani Israil(sorah#17) ki ayat#78 main hay k “ Aap zawaal e aftaab se raat ki tareeki tak namaz qaaim karain or namaz e subah bhi k namaz e subah k liay gawahi ka intezam kia gaya hay.” Note: Wazeh rahay k Quran e Kareem nay namaz k 3 hi auqaat biyaan kiay hain.2 namazo ko zawaal e aftaab or 2 ko tareeki e shab or 1 ko fajr se, layhaza 3 auqaat per ayteraaz kerna Quran se nawaqifiyat ki wazeh daleel hay.(Anwaarul Quran, Tajuma or tafseer Allama Zezhan Haider Jawwadi, pg#613 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.