Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question assalamo allaikum molana sahab mera question ye hai napakiyat ki halat me banda tasbiyat kar sakta hai matlab ...Allah o akber ..subhan Allah..Ahumdulillah... ki tasbee perh sakta hai ...quran or namaz to perhna mana hai kia tasbee perhna b mana hai ??? 
Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Halat e janabat main baghair quran k alfaaz ko hath lagay Quran ki on ayaat ko perhna jaiz hay jin main wajib sajdah nah hota.Laikin Quran majeed ki 7 se ziyada aisi ayaat perhna jin main sajdah wajib nah ho makhrooh hay.Halat janabat main on 4 ayaat ko perhna jin k perhnay se sajdah wajib ho jata hay,haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.