Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aqai Sistani d.b 
Question Mera Sawal ye hai ke me Previous 5 Year se galat kaam kar ke mani kharij krta tha or gusal nai karta tha or shuru ke 2 years to muje ye maloom nai tha ke ye mani kia hoti ha lekin muje 2 year baad round table me maloom hua ke ye mani hoti ha but phr bhi me ise mani nai smjta tha or ise wadi ya wazi rutubat smjta tha or na hi mene ksi se maloom kia but dill me muje lag rha tha ke ye mani ha but me ise nai manta tha phr muje maloom hua ke ye mani ha phr mene gusal kia ap ye btade ke ye 5 years mere rozay or kaffaray ka kia hukum ha or namaz ki qaza ada karne parhe gi or agar ye sub karna ha to ktne year ka karna hoga bcoz muje shuru ke 2 years me to maloom nai tha ke ye mani ha 
Answer Aap ne jab se istimna ker k mani kharij ki thee or ghusl nahi kia tha os waqt se namazo ki qaza kerna zarori hay. Haan agar aap ne jab kabhi koe mustahab ghusl ya ehtilaam k baad ghusl e janabat kia ho tu os k baad ki namazain dust qarar paeen gi Q k kisi mustahab ghusl kerne se bhi janabat dour ho jati hay.or jahaan tak rozo ka ta,aluq hay agar aap ko maloom nahi tha k istimna se ghusl e janabat wajib ho jata hay tu rozo ki qaza wajib nahi hay.or kaffara bhi wajib nahi.(Ref: Ayatullah sistani(d.b), mujatahid se pochay gay sawalaat, Roza, pg#26). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.