Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name tableeq 
Question salaam, mien ek ladki ko chahtha hun dil say na ki uski surath say aur na hi kabhi maine be pardagi ya kuch bad tameezi ki ho us ladki say. us say shadi karna chahtha hun.. mera sawal ye hai kya hum dua me allah se us ladki ko mangne, ya shadi karna ki dua kar sakthay hain??? jazakallah khair. 
Answer 1)Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). 2)Hazrat Imam jaffar e sadiq a.s. farmatay hain k jo surah e taha ko likh kar sabz rashmi kapray mai lepait kar apnay pas rakhay aur shadi k qasad say kisi k pas jae to osi nakaam nahi lotna paray ga aur wo shadi ho kar rehay gi. (Ref : Dunya aur aakhirat ki 100 perashanion ka hal pg # 18) 3)Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.