Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name siatani 
Question I need ijazat on behalf of allama sistani for giving sehme sadaat to my needy sadaat relatives.please do the needful or guide me.thankyou 
Answer zaruri hia k khums do hisson men taqseem kiya jaye, uska ek hissa sadaat ka haq hai zaruri hai k kisi faqeer syed ya yateem syed ya ayse syed ko diya jaye jo safar men nachhar hogaya ho, or dusra hissa Imam as ka hai jo zaruri hai k mojuda zamane men jama sharait mujtahid ko diya jaye ya ya ayse kamon pr kharch kiya jaye jis ki wo mujtahid ijazat de, or ehtiyat lazim ki bina per wo mujtahid Aalam(superlative digree of aalim) ho or umumi maslihaton se agah ho, jis yateem syed ko khums diya jaye zaruri hai k wo faqeer bhi ho lekin jo syed safar men nachar hojaye wo chahe apne watan men faqeer na bhi ho use khums diya ja sakta hai, jo syed aadil na ho use khums diya ja sakta hai lekin jo syed asna ashri na ho zaruri hai k use khums na diya jaye, jo shakhs khums ko gunah k kam men istamal kre use khums nahi diya ja sakta balke agr use khums dene se gunah karne men uski madad hoti hai to ehtiyat wajib ye hai k use khums na diya jaye chahe wo use gunah men istamal na bhi kre, isi tarah ehtiyat e wajib ye hai k us syed ko bhi khums na diya jaye jo sharab peeta ho ya namaz na parhta ho ya alaniya gunah krta hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1804,1805,1807,1808) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.