Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Me 
Question Assalawalekum Janab mera sawal ye hai ki mai Ek ladki se bahut mohabbat karta hu aur wo ladki bhi mujhse beintiha pyar karti hai aur Hum donoshadi karna chahte the aur isk liye maine apne parents se bahut request bhi kia but unke na razi hone per unki marzi se unki batayi ladki se shadi krli but ab b mai pehle wali ladki se mohabbat karta hu aur usse shariati tareeke se nikah karna chahta hu. please mujhe btaye ki ye kasie possible hai iske liye mujhe koi vird ya wazifa batayein jisse Allah aur hamare walidain humse razi ho kar humara Nikah Karadein. please btayein bahut Ehsaan hoga apka. 
Answer Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.