Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question aslamalekum. mujhe apni nand k silsilay main pochna tha us ka nam hai zoobia memon walida ka nam humera memon aur walid ka nam muhammad hashim memon. us k lie achay rishtay arahy hain magar wo shadi k liye razi nahi hai. bht nek aur pak seerat larki hai shadi ki bat sun k us ki tabyat kharab hojati hai ronay lag jati hai kahti hai mai walidan ki khidmat karon gi khana pena chor deti hai. bht samjhya hai magar besod. us ki yehi sahi umer hai k kahin rishta tay hojaye. 
Answer Aap ko chaheay k os ko shadi k mustahab honay k baray mai batain aur batain k islam mai shadi ki bohat ziada takeed ki gae hai k rasool e khuda s.a.w.w. nai farmaya hai k jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai. is k alawa aur hadeesain jis mai shadi ki takeed ki gae hai os ko batain. Is k alawa aap os k libaas par zafraan say surah e fattah surah # 48 ki pehli teen ayaat likhain sohar dar ho jain gi. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 282)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.