Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Agar bank say loan liya jy aur full hardwork kiya jy phir bank ko us ki Sara lagan ada ker diya jy baqi Jo reqm(profit) bachti hai us main soud shamil hai k nai? 
Answer Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jay ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.