Answer |
1)Istimna(Musht zani) karna haram hai.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)
2)Shohar apni jawaan biwi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay
hambistari(intercourse) tark nahi karsakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya
ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay
hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4
mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2382)
3)Nojawaan jab ghair mutabir afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo onhain ghalat mashwara
daite hain, maslan merdo main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k merdo k aala e tanasul
(penis) main 3 khososiyaat hona zarori hain: 1- Lamba or seedha ho. (Large & straight), 2- Mota
ho. (thick), 3- Sakht ho. (hard). Or aam tabeeb (doctors) bhi yehi taleem merdo ko daite hain
laikin jahaan tak uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar
hona chahiay k Indaam e nihaani (yani sharam gaah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada
hassaas(sensitive) sharam gaah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os
tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Laihaza penis k chote berhe hone se koe faraq
nahi perhta, albatta penis ka bohot hi ziyada berha hona takleef ka sabab hota he. Or penis k
te,rha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahi perhta Q k wo sharam gaah main jane k baad
khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koe faraq nahi hota, Q k aurat ki
sharam gaah k naram or lachak-daar raysho main phailne or sokarhne (Shrinkage) ki salahiyat
hoti he. Or itna sakht hona zarori he k aurat ki sharam gaah main asaani k saath dakhil ho sake.
Ghalat tabeeb ghalat ray day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Laihaza aise tabeebo
(doctors) se bacha jaay}.(Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar
zaidi,wakeel e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|