Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Yes 
Question Kya aurton ka ghar se bahar jaa kar kaam karna jaaiz hai....aur kya gair muslim ka jhutaa khaana yaa unhke haath se khaana khaana theek hai yaa gunaah hai.... 
Answer 1-Agar sharee parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah mai mubtila hone ka khoaf nah ho to khawateen ka kaam kernay main koi haraj nahi hai.(Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Mafhoom e Pg # 65). 2-Kafir Agar Ahle kitab (Yahoodi, Eesae or Majoosi) hain to wo paak hain or us k hath ka khana khane men koe masla nahi lekin agar Ahle kitab k alawa koi or kafir hai to musalman ko jab tak is baat ka yaqeen ya itminan nah ho jaey k us kafir ne us khane men apna geela hath lagaya hai ya koi aysi cheez us khane men shamil ki hai jiska khana haram hai, tab tak us khane ko aap k liay jaiz hai , Albatta jese hi aap ko elm ho jaey k kaifr ne apna geela hath lagaya hay ya khane men kisi haram cheez ko milaya hai to is surat men musalman k liay wo khana khana jaiz nahi hai. (Ref : Ayat ul Allah Sistani (db) Book : Jadeed Fiqhi Masaail, Mafhoom e Masla # 151, Pg # 126). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.