Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ahl.e.Sunnat 
Question Assalam O Alaikum Mera Swal ye hai k Aurto ka duniawi talim ka hasil karny ka Islam Me kis had tak hukam hai Aur ye univeristy me co.education system kis had tak thek hai agar thek hai to q aur agar thek nai to Aik Islami Riasat me Kesy Hm sb ye apni ankho k samny brdasht kar rahy hain . Shukria 
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)University me co education me agar ghunnah aaloud nigahoo ka tabaadla nah ho aur haram may mubtila honay ka khoof nah ho to koi haraj nahi. laikin is k bawajood ye maslah is laeq hay k islami mumaalik(countries) k zimaydar afraad larkoo aur larkioon k liay alag alag taleemi idaray bananay k liay mansooba bandi karain. (Ref : nigah aur libas Mafhoom e ques # 92 pg # 63). Update on dated 07-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.