Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sistani 
Question salam g kya tharat karny k bd jo qatry niklty hai wo nijas hai ya pak  
Answer 1)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 2)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. aur agar istebra na kia ho aur yaqeen ho k jo ratubat nikli hai wo peshab hai to namaz parhnay k lie os jigha ko pak krnay k bad wazoo karna bhi zaroori hai.(ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.