Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Sir pehshab ke baad peshad ke kuch qatre ate ae kia mea us ke bad Namz prh satka ho ya gusal wajab ho jata ae 
Answer 1)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 2)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. aur agar istebra na kia ho aur yaqeen ho k jo ratubat nikli hai wo peshab hai to namaz parhnay k lie os jigha aur kapray ko pak krnay k bad wazoo karna bhi zaroori hai.(ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.