Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mera sawal ye hi k abi main nay urine pass kiya us k baad wazoo kiya phir namaz k lye khara ho gya tw jab main sajday main gya tw urine ka qatra nikal gya is surat main main namaz mukamal kar sakta houn ya tour doun. ye Office ki baat hai jab k or kapray b nahi hain.  
Answer 1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. 2)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k paishaab ki naali may paishaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar namaz k doran jo ratubat kharij hui hai wo paishab ho to namaz batil ho jae gi. aur pak ho kar dubara namaz parhni paray gi. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70,113) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.