Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Meray do sawal hein: 1. Roza ki halat mein ager namaz qaza ho jayee tu uss ka kuffara kiya ada ker saktay hein? 2. Ager roza ki halat mein masterbution(Istmina) ho jayee aur mani kharj ho jayee tau uss ka kiya kuffara ada kerna parray ga? 
Answer 1) Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay. 2) Agar koe shakhs ramzan k rozay ko istimna k zariay batil karey aur ekhtiyaar se kia ho to us per qaza k alawa kaffara bhi wajib ho ga. 3) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1356 , 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.