Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Assalam u Alaikum Maulana sahab,main converted hun,aur meri family ko is baat ka ilm nhen hai main namz shia tareke se hi adaa kerti hun aur sajdah Tissue Paper pe ada kerti huun.Aik din meri behan ki mjh pe nazar per gye to us ne mjhe toka k tum tissue per sajda kyun ker rehi ho?aap bataye is silsile main mere lye kia hukum hai?kia main sajdah tissue k beghair ker skti hun?ager koi mere samne maujud ho to.mri family shiat ko bhtt ghalat samjhti hai aur main abhi engg k last year main hun maine un logo k samne kuch declare nhen kia kuk mjhe dar hai k meri taleem rukwa di jayegi.plzzz mre sawal ka jawab djyega. ALLAH HAFIZ. 
Answer 1)sajdah zameen per or on cheezo per kerna zarori hay k jo khaae or pehni nah jati hoon or zameen se ugti hoon.maslan lakri, darakhto k pattay, concrete, cement k farash or mosaic waghaira per bhi sajda kerna jaiz hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1063+ http://sistani.org/index.php?p=827020&id=937&page=3&perpage=10 + http://sistani.org/index.php?p=827020&id=937&page=4&perpage=10) 2) Agar ta’qai’yah ki bina agar aap sijda gaah na rakhein to namaz sahi ho gi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 61, pg # 41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.