Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Assalaamm alaikum va rahmatullilah wabarkatuhu...mera sawaal yeh hai k jab surat(urine) karke aane k baad bhi ek khatra girjata hai to usse taharat toot jati hai ya nahi. allah hafiz 
Answer 1) Agar koi shakhs pehsab kay baad Istibraa karay aur us kay baad Rutoobat Kharij ho jis k baray main usay shak ho kay peshab hay ya koi aur paak rutoobat to wo rutoobat paak samjhi jaey ge, Albatta agar Yaqeen ho kay peshab hay to wo Najis hay.(Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.70 Pg.25). 2)istibra ka tareeqa : Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.