Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question meri pregnancy ko ek month guzerne k baad mein ne ramazan k 11 rozey bhi rukhe hai or 11 rozey k akhir mein aa ker achanak mujhe mamooli si bleeding hui kiya jab oarat ko hamal taher jai to roza rukhna theek hai kj k buche ko khooraak to chahiye hoti hai us k baad se 6 ghenty guzar gaye hai bleeding nhi hui kiya mein roza baad mein rukhoon ager hamal zaya nhua ho to???? Please i am so much worried about that mere is se pehle b 2 hamal zaya ho chuke hai or mere 2 buche b hai mujhe bataye k kiya karoon???????? 
Answer Jis aurat k waza e hamal ka waqt qareeb ho is ka roza rakhna khud us k lie ya us k honay walay bache k lie muzir ho us per roza wajib nahi he aur zarori he k har din k aywaz aik mud ta,aam(khana) faqeer ko de aur zarori he k donoo soortoon me jo rozay na rakhe hoon us ki qaza baja laay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1699) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.