Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Agar jan bojh kar roza toda gia to os ka kaffara kia hota hai. Many thanks. 
Answer Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. 2) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.