Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question kya main haiz ki halat me roza rakh sakti hun? aur kya haiz ki halat me mera roza rakhna sahi hoga,aur agar roza rakhna sahi nahi hoga to kyu? 
Answer 1) Namaz , Roza aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum k saath ada karna zarori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,jaiz nahi hay.laikin in ibadatoon k ada karnay main koe haraj nahi hay jin k liay wuzu,ghusl ya tayammum karna zarori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira. 2)rozay k sahi honay ki 5 shara,it hain: 1)islam(laihaza kafir ka roza sahi nahi maana jay ga) 2) aqal ho or bay hoosh nah ho. 3) haiz or nifaas se paak ho(layhaza haiz or nifaas wali aurat ka raza sahi nahi hoga agarcha haiz or nifaas din kisi hisay main hi Q nah aajay). 4)junub ya haiz ya nifaas per fajr tak baqi nah rehna. 5) Aisa musafir nah ho jis per qasar namaz perhna wajib ho. 3)Ramzan k wo rozay jo haiz ki halat me na rakhe hoon zarori he k os ki qaza ki jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448 , 459, (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#, Maslah#1026 ka muqaddima ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.