Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Aasalam o aalaikum! Mera sawal ye hai ke agr mene fajr ki namaz ada ki ho or kisi waja se zuhur ki namaz k liye oth na saki hon to muje zuhur ki namaz asr k sath ada karne ki ijazat hai yani muje pehle asar ki namaz ada krke zuhur kaza krni hogi ya koi or tareka hai zuhur ki kaza parne ka ? 
Answer NOTE : Is web site per fiqh e jaffaria k mutabiq jawabaat diew jatay hein. 1) Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawal e aaftab se ghroob e aaftab tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718) 2)Jo shaks safar main nah ho or agar os k paas ghoob e aaftab tak 5 rakat namaz perhnay k andazay k mutabiq waqt ho tu os chahiay k zuhor or asr ki dono namazin tarteeb se perhay.(Ref:Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 737) 3) Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. ( Ref : website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.