Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question assalmualikum. men ek bht pareshan kun maslay se dochar hun gusal aur rozay k hawaly se. plz ap meri rehnumai farmaye ga , mera sawal ha k agar raat men gusal wajib hojaye aur sehri men uth k ap ne sehri ki aur rozay ki nyat kar li lekin privacy k bais ap ne gusal dair se kara yane k soraj nkalnay k bad to kia aesy halat men roza hojayega???  
Answer Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. 2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1591 , 1594) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.