Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name suni 
Question asalam-u-alaikum sir meri shadi ko 4 sal ho chuky hn or 2 bachy b hn beta 1 sal ka or beti 2 sal ki 8 mah pehlemere shohar or mere ghar walo ki takrar hogai thi jis ki waja se unho ne muje kaha k tm mujse talak lelo mn tume talak hi dydyta ho or wo phr guse mn ghar se chale gay or dosre din mn b unki bhabi k sath chali gai or phr ham khushi se unke ghar rehne lagy kuch dino bad unke aba ne ham dono ko larai k doran ghar se nikal dia or phr mn apni ami k ghar akar rehne lagi bacho k sath hamari phn pai bat hoti rehti thi or kbi kbi larai b hojati thi 1 din unhone phn kia or mn ne dair se uthaya to unho ne behad guse mn kaha k mn tume abi or isi waqt itna sunty hi mn ne phn kan se hata k nichy rakh dia or phr wo phn krty rahy laikn mne nai uthaya phr wo 2sre din khud hi ghar pai agay or rone lagy kehne lagy k mn ne tme wo lafz keh dia hai or agr hamari hogai hai to mn kia karo or halala kese krty hn or phr apne bhai k pass gay unse b yehi kaha k mn ne use talak dydi hai ab mn kia karo mn bht sharminda ho muje koi rasta batao plz ap bataye k hamari kitni talak wakia ho chuki hn or koi rasta hai k ham sath reh sakn plz jawab jadi dijiyega 
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Ye talaq shin hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ ﻄﺎﻟﻖ ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.