Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Career 
Question Assala mu alaikum ba rehmatullahe ba barakatahu Moulana Sahab, Janab mera nam vassem hein mein bhopal me ek company me job karta hu , janab me apna khud ka business karna chahta hu or Allah ke karam se jis company me kam karta hu usi se juda hua business me karna chahta hu, lekin hamesha kuch na kuch aise waqeyat ho jate he jisski wajeh se mere kam nahi ho pata , iski wajeh se me bahut jyada depress rehne laga hu, barahe karam kuch aisi dua bata dijiye jisse me sukun se apna kam suru kar suku or apne ma bap or bhaiyo ka khayal rakh saku, me apke jawab ka beshabri se intezar kar raha hu .. allah hafiz 
Answer 1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 2)Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to o ski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.