Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question sir assalam o alikum mein apne ghusal ka tareqa neche biyann kar raha ho mujhe yeh baraen kya yeh drust hai plzzz sub se pehle mein kuli karta ho aur gale tak pani pohanchat ho`` es ke bad nak mein pani dalata ho aur phir sara jism dho leta ho es ke bad dono bazon ko kohni tak dhota ho phir azae tanasil ko dhota hoo phir niyat karta ho paksaf karne ki jo shuru mein bi karta ho es ke bad wazzoo karta ho aur jism per 3 bar pani bahata ho kya yeh tareeqa sahi hai plz jawab zarroor digea ga  
Answer Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Aap ka bayaan kiya gaya tariqa drust nahi hay durust tariqa darj zail hay: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath). Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) 2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 383) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.