Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question shohar mani nikaalnay k iraday k baghair bivi ka bosa (kiss) layna ya koe shehwat angaiz kaam kary to agar bive ki sharamgha say kuch kharig ho jay to kya us ka roza toot jata hay plz wazahat... 
Answer 1)Agar discharge hone se murad wo pani he jo aurat say shehwat k saath Khaarij hota hay agar is Hadd tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) 2)ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356) 3)Agar mani k kharij na honay ka etminan na ho to is surat me is ka roza batil he aur qaza aur kaffara bhi wajib he laikin agar etminaan ho k mani kharij nahi ho gi aur kharij ho jey to is surat me is ka roza sahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza , ques # 28, pg # 27, 28) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.