Answer |
Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. ye zaroori nahi hai k bachay ki khilqat mukammil ho bal k agar is ki khilqat na mukammal ho laikin ( ﻋﻠﻗﻪ ) yani khoon ka lothra ya ( ﻤﺿﻐﻪ ) yani ghosht ka tukra honay ki halat sai ghuzr chuka ho aur phir gir jae to bhi 10 din tak jo khoon aye os ko nifas kehtay hain. Laikin 10 dino k bad aanay walay khoon ko nifas nahi kehtay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498-501)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |