Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name molana sahib 
Question Salam Molana Sahib, Mear Sawal ap sy ha k agar ma fajar ke namaz k leye lata utha yani aj kal Fajar ke namaz 5:20am par hoti ha agar ma 6baja utha ya subah 9baje tu kia es waqt mai Fajar ke namaz Qaza ada kar sakta hu Aur agar ha tu 9bje mai kia neyat karo ga Maslan waqt ya phirr zohar ke namaz sy pely ada kar sakta hu 2rikat Faraz Fajar k? Please es ka complete answer dai 
Answer 1)Qaza namaz parhnay mai zaroori hai k kotahi na karay albetta foran parhna wajib bhi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1358) 2)Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi k niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay k 2 rakat namaz, fajr ki sunnat ya qaza ya ada perhta hon qurbatan illal laah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.