Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question agar koi banda koi gunah karta hai aur woh yeh kahta hai k ya allah main kassam khata hoon mujhe maaf kar de aaj k baad dobara yeh gunah nahi ho ga iss kasam main woh kise ka naam nahi laita aur phir woh jis kam se kasam khai thi kar daita hai kiya iss ka kafara ho ga ya nahi .aur ya jo uss nain bina kise ka naam liye kasam khai tou yeh kasam hoi he nahi sirf uss nain namaz padh kar dua mangte huwe kaha tha k ya allah main kasam khata hon aaj k baad yeh kam nahi karon ga mujhe maaf kar de . 
Answer Agr jumla apne yehi kaha tha jo apne bayan kiya hai to ye qasam hi shumar nahi hogi, or na hi is ki mukhalifat ki surat men koi kaffar dena hoga, Q k qasam men khud Allah ka naam lekr uski qasam khana shart hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.