Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aqae Sistani 
Question Q1.Agar koi shakhs jaanboojh kar namaze jamat mein surae hamd aur sura padhe(jabki uski niyyat jamat padhne ki ho) to kya uski namaz batil ho jayegi jabki usko pata ho ki namaze jamat mein surae hamd sura nai padha jata. Agar woh aisa masala na jaanne ki wajah se kare to uski namaz sahi hogi ya nahin. Q2.Koi shakhs agar aisi jagah jaye jahan uski namaz qasr ho jayegi aur wahan se 4-5 dino ke baad apne watan wapas aye aur uski koi namaz qaza ho jaye to apne watan pohoncne par qasr padhega ya poori padhega. Q3. Sehme sadaat ke mustahiq kon afraad hain. Shariat ke hisaab se mustahiq kise kaha jayega. 
Answer 1)Har sorat main namaz sahi hay.(Ref: Email rcvd from Ayatollah sistani d.b, dated: 08-03-15 ) 2)Qasar namaz ki qaza qasar hi hoti hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , Mafhoom e sawaal # 71). 3) Jis Syed faqeer ko khumus diya jaey zarori hay k os main ye chand shrait hon. 1) 12 imami shia ho 2) Ye pata ho k Khusm ki raqam ko gunah k kaam main istimaal nahi karay ga. 3) Sharabi nah ho 4) Be-namazi nah ho 5) Aylaaniyah(Khul) ker ghunah nah kerta ho. 6) Khud Yaqeen ya itminaan ho k ye syed hay ya phir 2 adil shaks os k syed honay k tasdeeq ker dain. 7) Ehtiyaat e wajib ye hay k os ko shem e sadaat os k saal bhar k akhrajaat say ziyadah nah diya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1804-1819). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.