Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question salam.. molve sahab, mein yea pochna chati ho kya ummrah aise admi ka kabool hota hai jo apni biwi or aulad ka haq pora nahi krta ho un ke zimadari pori nahi krta ho jo un ko pochta nahi ho biwi or bachy bimar ho jaye un ka kharcha nahe deta ho apny sath biwi bacho ko nahe rakhta ho aur logo kay paisy ley kar un ko wapis nahi kiya ho karza ho jis par or logo ko khafa kiya ho or mafi bhi nahi mangi ho or ummrah bhi apny paiso ke jaga apni behen bhai ka paiso par kiya ho kya aise admi ka ummrah kabool hota hai or allah pak aise admi ka lia kya farmata hai jo aulad or biwi ka haq pora nahi krta ho or sirf apni zindagi ke har zarorat pori kr raha ho.. 
Answer Umra kerna mustahab kaam hay jab k bivi bacho ka naan faqah(kharcha) or in k bimaar hone ki sorat main ilaj kerwana , or qarze ki raqam ko waqt per ada kerna wajib hay or isi terah momeen ko aziyat daina haram hay. Haan agar koe doosra shaks umre ki raqam day ker kahe k umre per jao tu os ka ummre per jana sahi hoga laikin os ko chahiay k wo jitni muddat k liay umre per jaey utni muddat k khache ki raqam ya samaan apne ghar walo ko de ker jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #422 , Eidition 1417 hij)+ (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #985 , Eidition 1417 hij)+ (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Edition# 2013,Mafhoom e Maslah #49,136). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.