Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name shia 
Question Hum namaz me salam parhany k bad sajda shukar karty hen mera sawal ye hay k sajda shukar me hum dayn(left),bayn(right) mun kyun karty hen? 
Answer 1)Har namaz k bad taqeebat sai farig ho kar sajda e shukr baja lana mustahab hai. aur itna kafi hai k shukr ki niyat sai peshani zameen par rakhay laikin behtr ye hai 100 dafa ya 3 martaba ya aik dafa ﺸﻜﺮﺍﷲ ya ﻋﻔﻭﺍ kahay. Is ka alawa 10 martaba ﺍﻠﻌﻔﻭﺍﻠﻌﻔﻭ kahay phir right rukhsar sajdigah par rakh kar 3 martaba ﻴﺎﺍﷲﻴﺎﺮﺒﺎﻩﻴﺎﺳﻴﺪﺍﻩ kahay aur phir left rukhsar sajdigah par rakh kar 3 martaba ﻴﺎﺍﷲﻴﺎﺮﺒﺎﻩﻴﺎﺳﻴﺪﺍﻩ kahay phir dubara peshani sajdigah par rakh kar 100 martaba ya 3 martaba kahay ﺸﻜﺮﺍﷲ . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1110) 2)Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.