Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayat Ullah Sistani 
Question 786-92-110! Assalam-o-Alaekum! mera sawal ye hy k aj kal hmre firqe mai 1 group bana hy jo kehta hy k namaz mai Tashahud k Ali-un-Wali Ullah parha jaye qk Ali ki wilayat ka iqrar kiye baghair namaz batil hy... hmre baron ne kbi ni parha na he Apki Tozih-ul-Masail mai esa likha hy... mujhe bataye k parhna mustahib hy, wajib hy ya mana hy... or agar mana hy tau q mana hy... hmri kisi Imam ka koi qol hy esa k namaz mai parha jaye... or hum fajar, zohrain or maghribain q parhte hain mtlb 5 oqat namaz q ni hamare kis Imam ne ese namaz parhi... Karbala mai b Maula Hussain a.s ne Asar ka sajda Asar k wqt ada kia tha.... plz mujhe in sawal k jawab deden.... meharbani hogi... dua mai yad rkhye ga janab... Allah Hafiz 
Answer Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz main shahadat e salisa(moula ali(a.s) ki gawahe dena) perhna jaiz nahi hay.Or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.