Answer |
Zakat apni tamaam sharait k saath wajib hay chahae syed ho ya ghair syed laikin syed , ghair syed se halat e majboor k alawa zakat e wajib(zakaat ya fitra) nahi le sakhta aur ethiat e wajib ki bina per zarori he k aisi majboori ho k khums aur dosray zariay se aamdani k akhrajaat k lie kafi na hoon. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1918) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |