Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question KYA AULIA ALLAH SE MADAD MAANGNA SHIRK HAI?AGAR NAHIN HAI TOU HAME USKA SABOOT QURAAN SHAREEF KI ROUSHNI MEIN SE AAYAAT KE ZARIYE DIJIYE 
Answer Agar dua ko nabi (s.a.w.) aur ehlay bait (a.s.) k sath milaya jay to dua qabool honay k nazdeek ho jati he. (ref : web site ayatullaha sistani d.b. http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346 ) 2) Quran sorah e maa,ida sorah#5 ki ayat#35 bhi wasilay k ikhtiyaar kernay ka hokum daiti hay: “ emaan waloon Allah se daro or os tak pohanchnay ka wasila talaash karo or o ski raah main jihad karao keh shayad is terah kamiyaab ho jao.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#258-9) Or Quran sorah e nisaa sorah#4 ki ayat#64 bhi wasilay k ikhtiyaar kernay ka hokum daiti hay: “………or kaash jab in logo nay apnay nafs per zulm kia tha tu aap k paas aatay or khud bhi apnay gunaho k liay istighfaar kertay or rasool(s.a.w.w)bhi on k huq main istighfaar kertay tu ye khuda ko berha hi tauba qabool kerne wala or meherbaan paatay.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#258-9) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.