Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mujtahide taqleed kya hota hy 
Answer 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho, is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain, baghair is k keh is maslay me mazeed koi justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.