Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sistani 
Question slam.men sunni sy shia pe convert hua hon .kindly mujy namaz e juma ka tareqa detail sy bta den kasy parhtey hain jumat ky sath... 
Answer 1)Imam a.s. ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din aap ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz parhain. aur Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain:1:Waqt ka dhakil hona, 2:Namaz parhnay waloo ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hoon, 3: Imam ka jamia shrait imamat hona. Is k alawa jumay ki namaz subah ki terah 2 rakat hai is mai aur subah ki namaz mai faraq ye hai k jumay ki namaz sai pehlay 2 khutbay bhi hain. Aur jumay ki namaz mai pehli rakat mai ruku sai pehlay aik qunoot hai aur doosri rakat mai ruku k bad qunoot parhay aur phir sajday mai jain. Is k alawa Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain: 1:Ba-jamat namaz parhna, 2:Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna, 3:Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 722, 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.