Answer |
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka bais hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Lekin is ka wajoob tkyeri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Leikin jumay ki namaz waqt sai pehlay nhi parhi ja sakti hai aur na hi jamat k bagaor.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 51, pg # 36)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|