Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Seestani  
Question waledain ki qaza namaz ada karwanay k lye kisi sy namaz parhwa sakty hain?agar qzaz namaz na ada hogi tou kia waledain per sy qaza namaz ka azab nahi hat sakta?please jaldi reply kardain...please  
Answer 1-Gee haan, insaan k merne k baad on namazo or doosri ibadato k liay jo wo zindagi main nah baja laya ho kisi doosray shaks ko ajeer banaya jasakta hay yani wo namazain osay ujrat say ker perhwae jasakti hain or agar koe shaks baghair ujrat liay on namazo or doosri ibadato ko baja laay tab bhi sahi hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1314). 2-Ajeer aisay shaks ko muqarrar kerna zarori hay jis k baray main itminaan ho k wo amal ko baja laay ga or ehtimaal ho k sahi baja laay ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1519) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.