Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name namaz  
Question a.o.a....tahajjud ki namaz kaise padhi jati h...aur kya is namaz ko padhne k lye esha k bad sona lajmi h???mai rat bhar padhai krta hu, aur takriban 2 ya 3 bje sota hu,kya mai sone se pahle tahajjud ki namaz ata kar sakta hu..ya esha k bad ek nind lena zaruri h???plzzz peply me...  
Answer Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay. 8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay. Aur maghrib k bad sona zaroori nahi hai bal k maghrib k foran bad bhi parhi ja sakti hai. namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.