Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name none 
Question ASLAM O ALAIKUM mera sawaal ye hai ke ager mubasharat ke baad na nahaya jay aur sirf wazu kiya jaye to iska koi kafara hai ya nahee ager hai to aik dafa ka kitna hai.Aur namaz main dil lgane ke liye kya karoon pori namaz ada karni chahiye par main sirf farz namaz parhti hun wo bhi 1 ya 2 baki soi hui hoti hun kuch btayen.mera dil bht ghabrata hai par njane kya cheez rokti hai . 
Answer 1-Jima(mubasharat) karnay k baad mard aur aurat donoo par namaz aur is jaisi doosri ibadat k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqon sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phelay pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badn ko pehlay right side sai dhoae aur baad mai left side ko dhoya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360). Note: Mubasharat k baad sirif wuzu ker k ibadaat ko anjaam nahi diya jasakta. 2-Khushu o khuzu, aajzi or inkisari k izhaar ko kehtay hain. Is k liay insan ko chahiay k wo ye khiyaal rakhay k kis hasti se kalam ker raha hay or apnay aap ko khuda wand e alam ki azmat or buzurgi k muqaablay main haqeer or naa cheez samjhay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # before 717). Note: Aap khushu o khuzu k behtareen tariqay hasil kernay k liay ayatollah dastaghaib sheerazi ki kitaab khasheen ki namaz ko perhain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.