Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Seestani 
Question Molana sb mre do bete hain ak ki umar 3 baras aur ak ki 2 baras h. Kia m jb fajr ki namza ke l uthta h un ko uthaon ya un ko shor don to sote rahen. Islami Hukm kia h. Kia is umer se bachn ko masjid le jaon. 
Answer 1) Mustahab hay k samajh daar bachay ko(yani os bachay ko jo buray bhalay ki samajh rakhta ho ) namaz perhne or doosri ibadaat baja lanay ki adat dali jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1370). 2) Aisay bacho ko masjid main dakhil honay daina makhrooh hay jo namazio k liay bais e zehmat ho ya ehtimaal ho k wo masjid ko najis ker day ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 902). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.