Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question agar roza kisi waja se batil ho jaye to os ka kaya kufara ha aur kitna kam se kam kufara aada kerna ho ga 
Answer Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. 2) Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630 , 1632).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.