Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question jume ki namaz ke liye kisi villege ya dehat me kin-2 sharto ka hona jruri hai? yah ek hafiz ne kaha tha ki jish basti mai bus stand,raiway stand , tahsil ,kbristan aur aabdi ho usi basti mai jume ki namaz ho sakti hai  
Answer Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka daakhil hona,jo k Zawaal-e-Aaftaab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zarori hay k zohar ki namaz ada ki jaay. 2:Namaz parhnay waloon ki tadaad jo k Imam e jama’at k saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan jama na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti. 3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti. Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain . 1:Ba-Jama’at parha janay. 2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna. 3:ye k Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 Kilo Meter ka fasla maujood ho.) (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.720.)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.