Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name none 
Question ASLAM O ALAIKUM meri aik dost hai jab bhi wo apne mangetar se baat karti hai to usko shahowat zahir hoti hai.Uski shalwar gandi ho jati hai kya uske liye kapre badalna aur nahana zruri hai aur sar sey duppata utarne se wazu toot jata hai? 
Answer 1)Wo ratubat jo aurat se shewat k saath kharij hoti he agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aaloda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345) 2)Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) 3)Dupatta utarnay sai wazoo batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.